Tuesday, April 12, 2011

Mai charcha kar rahi hoon sector-29 me rahne wali Anuradha(42) aur Sonali(38) ki.aap bhi in dono ladkiyo k baare me jante honge kyoki aaj-kal inki kahani sabhi ki zuban per hai.phir bhi mai thoda apne shabdo me inki kahani ko bayan krna chahti hoon.mata-pita k dehant k baad dono bahno ne ye faisla liya k wo apne chhote bhai Vipin ko mata-pita ki kami mahsoos nahi hone dengi,C.A. Anuradha aur export company me karyarat Sonali ne bina apni khushiyon ki parawah kiye apne bhai ko padha-likha ker 4 saal pahle uska vivah karaya.Faridabad ki I.T. company me karyarat Vipin apni patni ko lekar lagbhag dedh saal (one n a half yrs)pahle kahin aur rahne laga,zahir hai ye sadma bahno ko bardasht nahi hua aur undono ne khud ko apne he ghar me qaid kr liya.(badi bahan ne shadi bhi nai ki thi)bina khaye-piye ye dono bahne January se apne he ghar me qaid hain,samajsevi sangathan ko padosiyo ki suchna milne per in dono bahno ko nikala gaya.jbki padosiyon ne pahle b police ko suchna di thi lekin koi karyawai nai hui.anuradha lagbhag coma me hai aur sonali bhi buri tarah awasad(depression) me hai. Ajeeb waqaya...,sanvedanheen samaj aur kuch logon ne to is subject ko lekar hamare P.M. aur president tak ko doshi thahra diya.log kis nazar se is dil dahla dene wali ghatna ko dekh rahe hain muje nahi malum lekin jahan se mai dekh rai hoon wahan se muje indono bahno ka kiya ghalat nai laga kyoki har baar samjhaota karna he thik nahi hota balk apna dukh wyakt krna bhi zaroori hota hai.muje lagta hai ki ye ager aisa nahi krti to log ink dukh ko mahsoos nahi kr sakte the aur jis samaj me inka bhai utha-ta baithta hoga wo samaj bhi ab uss bhai ko hikarat ki nazron se dekhega.mere kahne ka matlab qatai bhi ye nahi hai k her insan ko dispoint hokar aise qadam uthane chaiye lekin aise qadam bhi kabhi-kabhi samaj ko ek bhawanatmak soch dene per majboor kar jaate hain............!!!!!

Monday, April 11, 2011

Anna hazare k andolan ko safalta bhale he mil gai ho lekin ab bhi kuch log aise hain jo ye mante hain k Anna ki mang ka tariqa sahi nahi tha,ya kuch log aise hain jo ye kahte hain k Anna k iss anshan k peeche rajneetik log shamil hain........... hamare desh ki yehi vidambana hai k koi ager sahi disha me sochne ya karne ki koshish karta hai to usko shaq k ghere me le liya jata hai aur hazaron buraiyan gina di jati hain......!!! aise logon ki soch mujhe samajh nahi aati......khud to koshish kar nahi sakte aur ager koi kare to ya uska mazaak bana diya jata hai ya usko ghalat thahra diya jata hai......!! Mera manna hai k kaam sahi ho.........hum Anna ki mang ka samarthan kar rahe hain aur unki mang jayez hai ye sabhi jante hain.