Monday, April 11, 2011

Anna hazare k andolan ko safalta bhale he mil gai ho lekin ab bhi kuch log aise hain jo ye mante hain k Anna ki mang ka tariqa sahi nahi tha,ya kuch log aise hain jo ye kahte hain k Anna k iss anshan k peeche rajneetik log shamil hain........... hamare desh ki yehi vidambana hai k koi ager sahi disha me sochne ya karne ki koshish karta hai to usko shaq k ghere me le liya jata hai aur hazaron buraiyan gina di jati hain......!!! aise logon ki soch mujhe samajh nahi aati......khud to koshish kar nahi sakte aur ager koi kare to ya uska mazaak bana diya jata hai ya usko ghalat thahra diya jata hai......!! Mera manna hai k kaam sahi ho.........hum Anna ki mang ka samarthan kar rahe hain aur unki mang jayez hai ye sabhi jante hain.

2 comments:

  1. very true, Anna ne desh ke youth ko nayi disha dikhai hai, unhone sabit kr diya ki bina kisi swarth ke nek eradon se koi jang ladi jaye to jeet nishchit milti hai, warna to corruption ke khilaf to Baba Ramdev ne bhi awaaz buland ki thi, pr desh ke 1 percent logon ko bhi samarthan unko nahi mila, pr Anna k sath pura desh khada hua..akhir kyon, sochiye..!!

    ReplyDelete